Monday, October 12, 2015

Badi muddat hui..

Zamana hua khud se guftagoo kiye,
Fir aaj chahat hui gilaaf-e-dil uthane ki,
Samajhta nahin ke ibtayda karun to kahan se,
Simat ke rakha hai beher-e-fikr is puraane makaan me.

Diwaaron ke darmiyan ked hai khwahishen kai,
to khirkiyon se taakti hai aankhe umeed bhari,
Farz karta hu ke lakeeren saffa kar dun is qafas ki
Magar darta hun is jahaan-e-kharaab se.


Tamanna hai awaargi ki, tamanna hai kuch shararat ki

Tamanna hai khayal-e-dil to intehaan tak naafiz karu

To chalo aaj jee lete hain, 
see lete hain in tamanaon ki patang ko baaton ke maanjhe se
Dhunde humraaz koi is jahaan ke bazaar me
Qiam karein dostana is dilon ke gulzaar me



---

The Wandering albatross