Monday, November 9, 2015

Raahi aur manzil..

Samajhta nahin ke raahi hu ke rehnuma
Chala jaata hu dhundta chalne ke bahane
Bas roko na hume chalne se
Kyunki manzilein hamari hain manzilon se aage

Na rasto ki fikar na manzilon ki chaah
Chain hai humara in kadmo ke taal mel me
kyunki manzilon se aage manzilen aur bhi hain
in raasto ke aage raste aur bhi hain

firaq hue jo apne rasto ke maksad se
to wajood dhundne nikal jaenge
Jo wajood mila bina maksad ki in raahon ko
To visaal-e-raah par fir gaur farmaenge
Aur kahenge khud se ke chale chalo, chale chalo us afaq ki or
jahan na manzileain rahein na raaste na maksad rahe na faasle.


---
The Wandering Albatross